Aj mere mulk ka har nojawan maghribi tehzeeb mai hai magan,
To phir kese keh dun ao manaen jashan k azad hai mera watan,
Aj mere mulk ka bacha bacha karz ki laanat k neeche hai dafan,
To phir kese keh dun ao manaen jashan k azad hai mera watan,
Aj is mulk se muhabbat to door kinara kashi karna chata hai har nojawan mutamaddin,
To phir kese keh dun ao manaen jashan k azad hai mera watan,
Aj is mulk par qurban karne k bajae zinda rehne ki justuju mai hai har insan ka tun mun dhun,
To phir kese keh dun ao manaen jashan k azad hai mera watan,
Aj mera mulk tarasta hai k dilo mai Pakistan ka matlab kiya LA ILAHA ILLALLAH ka jazba ho mojzan,
To phir kese keh dun ao manaen jashan k azad hai mera watan,
Dehshatgardi, ghurbat, aflas, zulm, na-insafi, bad-diyanti, ne kardiay hai mere mulk to tanazzuli ki rah par gamzan,
To phir kese keh dun ao manaen jashan k azad hai mera watan,
Aj mere mulk mai mehfilein geeton se sajti hai na nam-e-KHUDA o RASUL-e-KHUDAWAND,
To phir kese keh dun ao manaen jashan k azad hai mera watan,
Aj dost numa dushmano ne bikheri hui hain har jagah lashein be gor-o-kafan,
To phir kese keh dun ao manaen jashan k azad hai mera watan,
Aj mangta hai mujhse quaid ka hosla aur iqbal k yakeen k beej mera chaman,
To phir kese keh dun ao manaen jashan k azad hai mera watan.
0 comments:
Post a Comment